Dusron ke waste
kachche gharonde chor jayen,
hum jahan tak parh chuke hain
us waraq ko morh jayen..!
Aane wala waqt hi
shayad humen pehchan le,
hum bhi paththar par koi
tehreer likhkar chorh jayen..!
woh to bach jayen ghutan se
kal basenge jo yahan,
apne ghar ki kyun na hum
deewar khud hi torh jayen..!!
HARA SONA….!!
Posted in Poetry on 01/20/2009 02:23 pm by akhtar rizviUtho sathi chalo milkar
hara sona ugaenge,
fiza mehkegi khushbu se,
nai duniya banayenge…!
ghutan sanson ki kam hogi
jalan ankhon se jayegi
milegi jism ko taqat
to rahat dil ko aayegi
nai naslon ki khatir
hum naye paude lagayenge
utho sathi chalo milkar
hara sona ugayenge…!!
hua hai zulm jin par
un hawaon ko bachana hai
laga kar perh[tree]hum sab ko
kai qarze chukana hai
jahan phoolon se bhar denge
naye gulshan sajayenge
utho sath chalo milkar
hara sona ugayenge..!
woh jisne humko sansen di
hamen jeevan diya jis ne
usi ko kaat dala
waqt ke berehem hathon ne
unhi girte hue perhon ko
hum phir se lagayenge
utho sathi chalo milkar
hara sona ugayenge….!!!
NAAK…??
Posted in Blogs on 01/17/2009 11:25 pm by akhtar rizviDOSTON…
Isani jism me qudrat ne kai tarha ke ang diye hain jaise Aankh,kaan,zuban,hath per…etc…lekin in angon ke sath hi insan ke jism me ek aur sabse mahatvapurn aang hota hai jis par aam taur par logon ka dhyan nahi jata..aaj Mannatt ji ne apne blog par aise hi ek important ang ka zikar kiya to hamen bhi unse thora inspration mila to hamne bhi socha kyun na kuch likha jaye…sabse pehle to main Mannatt ji ka shukriya ada karna chahunga jinhon ne itne important ang ki taraf hamara dhyan aakarshit kiya{Thanks Mannat ji}…to doston bat kuch aise shuru hoti hai ke insan ke jism ka ek chota sa lekin sabse important ang hai NAAK…!
ji han doston naak humare jism ka sabse important aur sabse zyada khatarnak ang hai..jiski fikr har insan ko sabse zyada rehti hai…har shakhs apni naak ki chinta me hi ghulta rehta hai aur shayad isi liye naak par hamen sabse zyada muhavre sunai dete hain jaise…naak neechi hona,naak katna,naak bachana,naak ka sawal,naak unchi rakhna,naak ke neeche,naak me dum karna,dusron ke kamon me naak ghuserna,naakon chane chabana,naak bhavn sukerna..ityadi ityadi…!
Doston agar hum itihas ka zara gehrai aur gambhirta se addhyan karen to hume pata chalega ke dunya me jitni bhi laraiyan,jhagre fasaad,khoon kharabe hue uske peeche isi choti si naak ki karastani rahi hai…are sahab door kyun jayen abhi thore hi samay ki baat hai jab Mr.Bush ko apni naak katne ka dar laga to woh apni naak bachane ke liye Iraq pe toot pare aur unki isi naak ne wahan jo tabahi machai hazaron begunahon ka qatal hua lakhon log beghar hue hazaron bachche anath ho gaye…lekin sawal naak ka tha peeche kaise hat jate ab yeh aur bat ke Mr bush ki naak to nahi bachi khud apne hi ghar me unki naak jarh se kat gayi aur woh pedal ho gaye…khair yahan bat Mr.Bush ki nahi naak ki ho rahi hai to aapko aisi hazaron ghatnayen mil jayengi jahan logon ne apni naak par lakhon logon ko qurban kar diya magar yeh naak hai ke aaj bhi insan ko darati rehti hai ke mujhe bachao nahi to main chali katne…aur hum bhi apni naak ke itne ghulam hain ke chahe jo kuch bhi ho kuch bhi achcha bura kaam karna pare naak neechi nahi hone dete .iski hazaron misalen aap ne apne aas paas dekhi hongi agar parosi ke ghar me coloured TV aa gaya to hamari naak neechi agar kisi dost ke pas car hai to hamari naak ko khatra agar humne apni beti ki shadi me koi kasar chor di to sara samaj hamari naak ke peeche agar koi hamse kisi cheez me behtar hai to hamari nak ka sawal?matlab yeh ke USKI KAMEEZ MERI KAMEEZ SE SAFED KYUN wali sanskirti ne hamari choti si naak ko itna atankit kar rakha hai ke har qadam par hamari naak hamse aage chalti nazar aati hai aur hum use bachane ke chakkar me udhar ke bhanwar me phanskar tanav ke shikar hote ja rahe hain magar is naak ka pet nahi bharta…aur NAAK MANGE MORE ke liye hum kuch bhi karne ko tayyar rehte hain…kyun doston hai na naak kitni important?ab mannat ji ne thora hamare lakhak man ko hilaya aur us se zyada hamari naak ne humen uksaya to hum bhi tayyar ho gaye apni naak utha kar ab hamari yeh koshish kahan tak kamyab hai iska faisla to aap ko hi karna hai agar aap logon ko hamari yeh NAAKGATHA pasand aati hai to shukriya aur agar nahi bhi aati to hamari naak ko koi khatra nahi kyunki agar doston ke samne naak neechi ho bhi jaye to kuch farq nahi parta…kyun thik hai na…???
=akhtar rizvi
AAJ BHI AAYE NA TUM….!!
Posted in Poetry on 01/16/2009 09:35 pm by akhtar rizviAaj bhi deepak bujhe
aur chand tare chup gaye,
Aaj bhi tanhaiyon ke
naag mujhko dus gaye,
Aur kab tak pyar karne ki
saza paati rahun.?\
aaj bhi aaye na tum
aaj bhi aaye na tum…!
ab bhi aa jao ke yeh
tanhaiyan dasne lagin
sar phiri pagal si yeh
purwaiyan dasne lagin
ab mujhe khud apni hi
parchaiyan dasne lgin
tere wade pa kahan tak
khud ko tarpati rahun.?
aaj bhi aaye na tum
aaj bhi aaye na tum..!
ghar sajaya tha isi ummed par
aaoge tum,
rooh ki pyasi zameen pe
pyar barsaoge tum,
phir na jane ki wohi
jhooti qasam khaoge tum
kab talak dil ko
tasalli de ke behlati rahum.?
aaj bhi aaye na tum
aaj bhi aaye na tum..!
ab bhi aa jao ke ab
yeh rat bhi dhalne ko hai,
doobta hai chand
yeh barat bhi chalne ko hai,
sath deepak ke meri
har aas bhi jalne ko hai,
waqt ki chaukhat pe
kab tak sar ko takrati rahun.?
aaj bhi aaye na tum
aaj bhi aaye na tum..!
waqt ke berehem hathon ne
churaya hai humen,
raat ke khamosh lamhon ne
rulaya hai humen,
dooriyon ke dard ne
kitna sataya hai humen,
aur kab tak dard ke
yeh geet main gati rahun.?
aaj bhi aaye na tum
aaj bhi aaye na tum..!!
No comments:
Post a Comment